Friday, March 23, 2012

Hum se to ye bhi na ho paya.....

Khayaal to bahut hain mann mein,
khayaalon ka humein khayaal na aaya,
Baki sab ne to khayalon ko shabdon me dhaal liya,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Socha tha ki ek din apna bhi hoga kuch wajood,
Dekh na paye vo toofan jo waqt ke saath aaya,
Ret pe bane ghar bhi tik jaate hain kuch din,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Sapne dekhte dekhte aankhon se neend gawa baithe,
Sapne sach nahi hote, ye sab ne humein samjhaya,
Zyada mushkil nahi tha hakeekat me jeena,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Zindagi ho jaati khoobsurat,
Agar saath rehta kisi humsafar ka saaya,
Khud hi me dhoond leta hai insaan apni khushi,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Mehfil-e-Jashn me bhi khud ko tanha paaya humne,
Kisi ne bhi is lachari pe taras na khaya,
Yaaron ne to dard chhupa liya hansi ke peechhe,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Is tanhayi me bhi daal li hai jeene ki aadat,
Andheri raaton ko bhi apna dost banaya,
Gham ne to hum se dosti kar li lekin,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Chalte chalte nikal aaye hain bahut door,
Thoda sambhal ke chalo kisi ne bataya,
Sambhalne wale to kab ke sambhal gaye hain,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Aaj jab peeche mud ke dekhta hun,
Saaf nazar aata hai ki kya khoya aur kya paaya,
Paane wale to manzil ki talaash me rehte hain aksar,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Kabhi akele me socha karte hain baith ke,
Na jaane kitni saansen bachi hain bakaaya,
Saansen ginana jindagi jeena ka tareeka nahi hai magar,
Hum se to ye bhi na ho paya.

Log kehte hain ki galatiyan insaanon se hi hoti hain,
Fir kyu kisi ne humein galati ka ehsaas nahi karwaya,
Galati sudharne ke mauke to bahut mile honge,
Fir kyu hum se ye bhi na ho paya.

2 Comments:

At 11:55 PM, Blogger Aadii said...

Waah sir! Very nice.
Loved the flow.

 
At 8:46 AM, Blogger jammalamadaka said...

Kush raho aap kamse kam em poem likhe hain.. Hum se tho ye bhi na ho paaya :)

 

Post a Comment

<< Home